Saturday, February 23, 2013

Shikwe

Deke maut ke havaale muje
aye ruh rukhsat tu ho gayi
karke waada zindagi ka
maut ke darwaaze pe tu chhod gayi

lita diya duniya ne kabr mein
aur zameen se mein lipat gaya
simat ke fir jaise maa ki god me
aanson bahaata teri bewafaai ke raha

jab thak kar badli karwat maine
to aashiko ka maikhana paya
jahaan lete hue hai sab chhe foot andar
gaate hue, ruh, teri bewaafi ka gaana