Kavitaaen meri jo tumhaare wajood se joodi thi
Anath hoke tar batar aaj vo bhatak rahi hai
Fir kisi hasin ki khoj me dil me dhokhe ka dard chupaake
Par lavaris se ye mere lafz apane maayane bhool rahe hai
Aur unaki har aah se nikal rahe hain kuch naye labz dard ke
Fir bunenge wo dard ki daastan jo waqt ke sailaab me beh jaayegi
Aur fir na bachega dard ya bachega mere alfaazon ka ehsaas
Bas reh jaaaynge bikhare hue itar bitar mere lavaris lafz
Thursday, December 15, 2011
Lavaris lafz
Udaan
Jal ke raakh bhi nahi hota Aur jalan kam bhi nahi hoti
Na is astitva ka ant hai par astitva bhi to nahi hai
Bandhnone baandh ke pakad liya hai sansaar ke
Aur lagi hui hai aag bas chaaro aur
Na in zanziron ko tod ke bhagane ka dam hai
Naahi hai in lipato me lipat jaane ki himmat
Bas ek panchi ko dekhake ji raha hu
Khwaab me ek din udane ke
Subscribe to:
Posts (Atom)